ġhurūr-e-ulfat  kī  tarz-e-nāzish  ajab  karishme  dikhā  rahī  hai
hamārī  rūThī  huī  nazar  ko  tirī  tajallī  manā  rahī  hai
vo  tuur  vaalī  tirī  tajallī  ġhazab  kī  garmī  dikhā  rahī  hai
vahāñ  to  patthar  jalā  diye  the  yahāñ  kaleja  jalā  rahī  hai
mire  nasheman  meñ  shān-e-qudrat  ke  saare  asbāb  haiñ  muhayyā
havā  safā.ī  pe  hai  muqarrar  charāġh  bijlī  jalā  rahī  hai
na  us  ke  dāman  se  maiñ  hī  uljhā  na  mere  dāman  se  ye  hī  aTkī
havā  se  merā  bigāḌ  kyā  hai  jo  sham-e-turbat  bujhā  rahī  hai
farishte  aa.e  agar  lahad  meñ  to  saaf  kah  dūñgā  rāsta  lo
jab  us  kī  chāhat  meñ  jaan  de  dī  to  baat  kahne  ko  kyā  rahī  hai
jamāl-e-qudrat  mujhī  ko  de  de  ki  maiñ  kaleje  kī  choT  sekūñ
kalīm  ke  ghar  meñ  rakkhe  rakkhe  vo  aag  ab  kyā  banā  rahī  hai