ab  is  se  baḌh  ke  kyā  nākāmiyāñ  hoñgī  muqaddar  meñ
maiñ  jab  pahuñchā  to  koī  bhī  na  thā  maidān-e-mahshar  meñ
ilāhī  nahr-e-rahmat  bah  rahī  hai  is  meñ  Dalvā  de
gunahgāroñ  ke  isyāñ  bāñdh  kar  dāmān-e-mahshar  meñ
khule  gesū  to  dīdār-e-ḳhudā  bhī  ho  gayā  mushkil
qayāmat  kā  añdherā  chhā  gayā  maidān-e-mahshar  meñ
sharīk-e-kasrat-e-maḳhlūq  tū  kyuuñ  ho  gayā  yārab
tirī  vahdat  kā  parda  kyā  huā  maidān-e-mahshar  meñ
qayāmat  to  hamārī  thī  ham  aapas  meñ  nibat  lete
koī  pūchhe  ḳhudā  kyuuñ  aa  gayā  maidān-e-mahshar  meñ
kisī  kā  ābla-pā  qabr  se  ye  pūchhtā  uTThā
kahīñ  thoḌe  bahut  kāñTe  bhī  haiñ  maidān-e-mahshar  meñ
ilāhī  dard  ke  qisse  bahut  haiñ  vaqt  thoḌā  hai
shab-e-furqat  kā  dāman  bāñdh  de  dāmān-e-mahshar  meñ
na  uThte  kushtagān-e-nāz  hargiz  apnī  turbat  se
tirī  āvāz  shāmil  ho  ga.ī  thī  sūr-e-mahshar  meñ
tah-e-madfan  mujhe  rahte  zamāna  ho  gayā  'muztar'
kuchh  aisī  niiñd  soyā  huuñ  ki  ab  jāgūñgā  mahshar  meñ