sab  sharīk-e-sadma-o-āzār  kuchh  yūñhī  se  haiñ
yaar  kuchh  yūñhī  se  haiñ  ġham-ḳhvār  kuchh  yūñhī  se  haiñ
un  ke  sab  afa.āl  sab  atvār  kuchh  yūñhī  se  haiñ
qaul  kuchh  yūñhī  se  haiñ  iqrār  kuchh  yūñhī  se  haiñ
apne  dīvāne  se  mil  liije  usī  meñ  ḳhair  hai
aap  abhī  rusvā  sar-e-bāzār  kuchh  yūñhī  se  haiñ
jis  jagah  dekho  nasīhat  ke  liye  maujūd  haiñ
hazrat-e-nāseh  ḳhudā.ī-ḳhvār  kuchh  yūñhī  se  haiñ
dast-e-vahshat  ne  garebāñ  kā  safāyā  kar  diyā
jeb  ke  parde  meñ  thoḌe  taar  kuchh  yūñhī  se  haiñ
un  ke  aane  kī  ḳhabar  sun  kar  uḌā  dī  hai  ḳhabar
varna  'muztar'  vāqa.ī  bīmār  kuchh  yūñhī  se  haiñ