ātish-e-husn  se  ik  aab  hai  ruḳhsāroñ  meñ
ai  tirī  shaan  ki  paanī  bhī  hai  añgāroñ  meñ
dam  nikal  jā.egā  ruḳhsat  kā  abhī  naam  na  lo
tum  jo  uTThe  to  biThā  dūñgā  azādāroñ  meñ
jā  ke  ab  nār-e-jahannam  kī  ḳhabar  le  zāhid
naddiyāñ  bah  ga.iiñ  ashkoñ  kī  gunahgāroñ  meñ
naubateñ  nāla-e-ruḳhsat  kā  patā  detī  haiñ
mātam-e-ishq  kī  āvāz  hai  naqqāroñ  meñ
mujh  ko  is  dard  kī  thoḌī  sī  kasak  hai  darkār
jo  davā  ban  ke  baTā  hai  tire  bīmāroñ  meñ
be-talab  us  ne  dikhāyā  ruḳh-e-raushan  'muztar'
naam  muusā  kā  nahīñ  us  ke  talab-gāroñ  meñ