mere  mahbūb  tum  ho  yaar  tum  ho  dil-rubā  tum  ho
ye  sab  kuchh  ho  magar  maiñ  kah  nahīñ  saktā  ki  kyā  tum  ho
tumhāre  naam  se  sab  log  mujh  ko  jaan  jaate  haiñ
maiñ  vo  khoī  huī  ik  chiiz  huuñ  jis  kā  patā  tum  ho
mohabbat  ko  hamārī  ik  zamāna  ho  gayā  lekin
na  tum  samjhe  ki  kyā  maiñ  huuñ  na  maiñ  samjhā  ki  kyā  tum  ho
hamāre  dil  ko  bahr-e-ġham  kī  kyā  tāqat  jo  le  baiThe
vo  kashtī  Duub  kab  saktī  hai  jis  ke  nā-ḳhudā  tum  ho
bichhaḌnā  bhī  tumhārā  jīte-jī  kī  maut  hai  goyā
use  kyā  ḳhaak  lutf-e-zindagī  jis  se  judā  tum  ho
musībat  kā  ta.alluq  ham  se  kuchh  bhī  ho  to  rāhat  hai
mire  dil  ko  ḳhudā  vo  dard  de  jis  kī  davā  tum  ho
kahīñ  is  phūTe-muñh  se  bevafā  kā  lafz  niklā  thā
bas  ab  ta.anoñ  pe  ta.ane  haiñ  ki  be-shak  bā-vafā  tum  ho
qayāmat  aa.egī  yā  aa  ga.ī  is  kī  shikāyat  kyā
qayāmat  kyuuñ  na  ho  jab  fitna-e-roz-e-jazā  tum  ho
ulajh  paḌne  meñ  kākul  ho  bigaḌne  meñ  muqaddar  ho
palaTne  meñ  zamāna  ho  badalne  meñ  havā  tum  ho
vo  kahte  haiñ  ye  saarī  bevafā.ī  hai  mohabbat  kī
na  'muztar'  be-vafā  maiñ  huuñ  na  'muztar'  be-vafā  tum  ho