kyā  kahūñ  hasrat-e-dīdār  ne  kyā  kyā  khīñchā
kabhī  dāman  tirā  khīñchā  kabhī  pardā  khīñchā
naqsh-e-ummīd  mire  shauq  ne  ulTā  khīñchā
mujh  se  khiñchte  hī  ga.e  vo  unheñ  jitnā  khīñchā
vo  tire  dil  meñ  hamārī  bhī  jagah  kar  degā
jis  ne  is  aañkh  ke  til  meñ  tirā  naqshā  khīñchā
ḳhvāb  is  dil  pe  tirī  aañkh  ne  Dore  Daale
ḳhuub  kājal  ne  tirī  aañkh  meñ  Dorā  khīñchā
taan  liiñ  donoñ  bhaveñ  Daal  ke  nazreñ  us  ne
tiir  chhoḌe  to  kamānoñ  ne  bhī  chillā  khīñchā
zabt-e-fariyād  se  'muztar'  mirī  sāñseñ  uljhīñ
rasm-e-fariyād  ne  uupar  ko  kalejā  khīñchā