na  bulvāyā  na  aa.e  roz  va.ada  kar  ke  din  kaaTe
baḌe  vo  ho  ki  tum  ne  achchhā  achchhā  kar  ke  din  kaaTe
akele  kyā  tumhīñ  ne  saḳhtiyāñ  jhelīñ  judā.ī  kī
nahīñ  ham  ne  bhī  patthar  kā  kalejā  kar  ke  din  kaaTe
batā  mujh  ko  tarīqa  ai  shab-e-ġham  saal  kaTne  kā
koī  baara  mahīne  tiis  din  kyā  kar  ke  din  kaaTe
jise  apnā  samajhte  the  vahī  dil  ho  gayā  un  kā
koī  duniyā  meñ  ab  kis  kā  bharosā  kar  ke  din  kaaTe
qazā  bhī  aa  ga.ī  lekin  na  aanā  thā  na  aa.e  vo
ye  maiñ  ne  umr-bhar  kis  kī  tamannā  kar  ke  din  kaaTe
tumhārā  kyā  khule  bandoñ  rahe  chāhe  jise  dekhā
kamāl  us  ne  kiyā  'muztar'  ki  pardā  kar  ke  din  kaaTe