junūñ  ke  josh  meñ  insān  rusvā  ho  hī  jaatā  hai
garebāñ  phāḌne  se  faash  pardā  ho  hī  jaatā  hai
mohabbat  ḳhauf-e-rusvā.ī  kā  baa.is  ban  hī  jaatī  hai
tarīq-e-ishq  meñ  apnoñ  se  pardā  ho  hī  jaatā  hai
javānī  vasl  kī  lazzat  pe  rāġhib  kar  hī  detī  hai
tumheñ  is  baat  kā  ġham  kyuuñ  hai  aisā  ho  hī  jaatā  hai
bigaḌte  kyuuñ  ho  aapas  meñ  shikāyat  kar  hī  lete  haiñ
adū  kā  tazkira  dushman  kā  charchā  ho  hī  jaatā  hai
tumhārī  nargis-e-bīmār  achchhā  kar  hī  detī  hai
jise  tum  dekh  lete  ho  vo  achchhā  ho  hī  jaatā  hai
akelā  pā  ke  un  ko  arz-e-matlab  kar  hī  letā  huuñ
na  chāhūñ  to  bhī  iz.hār-e-tamannā  ho  hī  jaatā  hai
mirā  dāvā-e-ishq  aġhyār  bātil  kar  hī  dete  haiñ
jise  jhūTā  banā  leñ  yaar  jhūTā  ho  hī  jaatā  hai
butān-e-be-vafā  'muztar'  dil-o-dīñ  kar  hī  lete  haiñ
tumhīñ  par  kuchh  nahīñ  mauqūf  aisā  ho  hī  jaatā  hai