ik  parda-nashīñ  kī  aarzū  hai
dar-parda  kahīñ  kī  aarzū  hai
hai  bhī  to  unhīñ  kā  dil  ko  armāñ
hai  bhī  to  unhīñ  kī  aarzū  hai
hotā  nahīñ  haañ  se  qaul  puurā
ab  mujh  ko  nahīñ  ki  aarzū  hai
kho  aa.e  haiñ  kū-e-yār  meñ  dil
is  par  bhī  vahīñ  kī  aarzū  hai
īmān  kā  ab  ḳhudā  nigahbāñ
ik  dushman-e-dīñ  kī  aarzū  hai
nikle  bhī  to  terī  justujū  meñ
ye  jān-e-hazīñ  kī  aarzū  hai
añdherā  machā  huā  hai  dil  meñ
kis  māh-jabīñ  kī  aarzū  hai
kyuuñ  hashr  kā  qaul  kar  rahe  ho
'muztar'  ko  yahīñ  kī  aarzū  hai