fasl-e-gul  bhī  taras  ke  kaaTī  hai
umr  kāñToñ  meñ  bas  ke  kaaTī  hai
maiñ  ne  ro  kar  guzār  dī  ai  abr
jaise  tū  ne  baras  ke  kaaTī  hai
ho  ke  pāband-e-ulfat-e-sayyād
zindagī  be-qafas  ke  kaaTī  hai
soz-e-ulfat  meñ  zindagī  maiñ  ne
ġhair  kā  muñh  jhulas  ke  kaaTī  hai
zindagī-bhar  rahe  hasīnoñ  meñ
umr  phūloñ  meñ  bas  ke  kaaTī  hai
us  ne  kis  naaz  se  mirī  gardan
kamar-e-shauq  kas  ke  kaaTī  hai
us  kī  hasrat  hai  diid  ke  qābil
jis  ne  'muztar'  taras  ke  kaaTī  hai