vo  qazā  ke  rañj  meñ  jaan  deñ  ki  namāz  jin  kī  qazā  huī
tire  mast-e-bāda-e-shauq  ne  na  kabhī  paḌhī  na  adā  huī
tire  daur-daura-e-ishq  meñ  mirī  ek  rañg  se  kaT  ga.ī
na  sitam  huā  na  karam  huā  na  jafā  huī  na  vafā  huī
mujhe  ġhair-e-ijz-o-niyāz  ne  tire  dar  pe  jā  ke  jhukā  diyā
na  to  koī  ahd  likhā  gayā  na  to  koī  rasm  adā  huī
mirā  dil  bhī  thā  mirī  jaañ  bhī  thī  na  vahī  rahā  na  yahī  rahī
mujhe  kyā  ḳhabar  ki  vo  kyā  huā  mujhe  kyā  ḳhabar  ki  ye  kyā  huī
mirī  umr  'muztar'-e-ḳhasta-dil  kaTī  ranj-o-dard-o-firāq  meñ
na  kisī  se  merī  davā  huī  na  davā  se  mujh  ko  shifā  huī