Muztar Khairabadi

dam-e-aKHir musibat kaT do bahr-e-KHuda meri

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
dam-e-āḳhir musībat kaaT do bahr-e-ḳhudā merī
tum aa kar dard ke parde meñ kar jaao davā merī
mohabbat but-kade meñ chal ke us kā faisla kar de
ḳhudā merā ḳhudā hai yā ye mūrat hai ḳhudā merī
yahāñ se jab ga.ī thī tab asar par ḳhaar khaa.e thī
vahāñ se phuul barsātī huī palTī duā merī
tū hī kah de ye jism-e-zār merā hai ki terā hai
tū hī kah de ye rūh-e-nā-tavāñ terī hai yā merī
paḌā hai tafraqa jis din se kyā kyā yaad kartī hai
udhar mujh ko jafā terī idhar tujh ko vafā merī
muqayyad ho ke lutf-e-hastī-e-āzād bhī khoyā
vo kyā thī ibtidā merī ye kyā hai intihā merī
vahāñ jab the to jism-e-nā-tavāñ meñ ruuh phūñkī thī
yahāñ jis din se aa.e aap ban baiThe qazā merī
miyān-e-hashr ye kāfir baḌe itrā.e phirte haiñ
mazā aa jaa.e aise meñ agar sun le ḳhudā merī
kisī kā jalva-e-rañgīñ ye kahtā hai inheñ puujo
ye us patthar ke but haiñ jis pe pistī thī hinā merī
na-jāne kaun se yūsuf kā jalva mujh meñ pinhāñ hai
zuleḳhā aaj tak kartī hai 'muztar' iltijā merī
Top Urdushayar.com