dam-e-āḳhir  musībat  kaaT  do  bahr-e-ḳhudā  merī
tum  aa  kar  dard  ke  parde  meñ  kar  jaao  davā  merī
mohabbat  but-kade  meñ  chal  ke  us  kā  faisla  kar  de
ḳhudā  merā  ḳhudā  hai  yā  ye  mūrat  hai  ḳhudā  merī
yahāñ  se  jab  ga.ī  thī  tab  asar  par  ḳhaar  khaa.e  thī
vahāñ  se  phuul  barsātī  huī  palTī  duā  merī
tū  hī  kah  de  ye  jism-e-zār  merā  hai  ki  terā  hai
tū  hī  kah  de  ye  rūh-e-nā-tavāñ  terī  hai  yā  merī
paḌā  hai  tafraqa  jis  din  se  kyā  kyā  yaad  kartī  hai
udhar  mujh  ko  jafā  terī  idhar  tujh  ko  vafā  merī
muqayyad  ho  ke  lutf-e-hastī-e-āzād  bhī  khoyā
vo  kyā  thī  ibtidā  merī  ye  kyā  hai  intihā  merī
vahāñ  jab  the  to  jism-e-nā-tavāñ  meñ  ruuh  phūñkī  thī
yahāñ  jis  din  se  aa.e  aap  ban  baiThe  qazā  merī
miyān-e-hashr  ye  kāfir  baḌe  itrā.e  phirte  haiñ
mazā  aa  jaa.e  aise  meñ  agar  sun  le  ḳhudā  merī
kisī  kā  jalva-e-rañgīñ  ye  kahtā  hai  inheñ  puujo
ye  us  patthar  ke  but  haiñ  jis  pe  pistī  thī  hinā  merī
na-jāne  kaun  se  yūsuf  kā  jalva  mujh  meñ  pinhāñ  hai
zuleḳhā  aaj  tak  kartī  hai  'muztar'  iltijā  merī