chāhat  kī  nazar  aap  se  Daalī  bhī  ga.ī  hai
hasrat  kisī  āshiq  kī  nikālī  bhī  ga.ī  hai
tum  ne  kisī  bīmār  ko  achchhā  bhī  kiyā  hai
hālat  kisī  bigḌe  kī  sambhālī  bhī  ga.ī  hai
tum  khel  samajhte  ho  magar  ye  to  batāo
āh-e-dil-e-muztar  kabhī  ḳhālī  bhī  ga.ī  hai
kyā  ḳhaak  karūñ  meñ  ḳhalish  ishq  kā  shikva
ye  phāñs  kabhī  tum  se  nikālī  bhī  ga.ī  hai
jhagḌe  bhī  kahīñ  rashk-e-raqābat  ke  miTe  haiñ
ulfat  meñ  kabhī  ḳhām-ḳhayālī  bhī  ga.ī  hai
'muztar'  ko  kabhī  husn  kā  sadqa  bhī  diyā  hai
ye  bhiik  kabhī  aap  se  Daalī  bhī  ga.ī  hai