mā.il-e-sohbat-e-aġhyār  to  ham  haiñ  tum  kaun
kyuuñ  burā  maan  ga.e  yaar  to  ham  haiñ  tum  kaun
kyuuñ  rihā.ī  kī  duā  karte  ho  tum  hazrat-e-dil
un  kī  zulfoñ  meñ  giraftār  to  ham  haiñ  tum  kaun
zāhido  hashr  ke  din  tum  ko  ḳhudā  kyuuñ  baḳhshe
vājiburrahm  gunahgār  to  ham  haiñ  tum  kaun
un  kī  āñkhoñ  se  mire  sog  meñ  aañsū  jo  gire
zulf  bolī  ki  azā-dār  to  ham  haiñ  tum  kaun
dil-e-'muztar'  kī  vafāoñ  se  tumheñ  kyā  matlab
us  kī  har  chiiz  ke  muḳhtār  to  ham  haiñ  tum  kaun