dil  le  ke  hasīnoñ  ne  ye  dastūr  nikālā
dil  jis  kā  liyā  us  ko  bahut  duur  nikālā
zāhid  ko  kisī  aur  kī  bāteñ  nahīñ  ātīñ
aayā  to  vahī  tazkira-e-hūr  nikālā
dushman  ko  ayādat  ke  liye  yaar  ne  bhejā
achchhā  ye  ilāj-e-dil-e-ranjūr  nikālā
ai  tīr-e-sitam  chal  tirī  dāvat  hai  mire  ghar
zaḳhm-e-dil-e-nāshād  ne  añkūr  nikālā
vo  tazkira-e-ġhair  pe  jhuñjhlā  ke  ye  bole
phir  aap  ne  'muztar'  vahī  mazkūr  nikālā