aish  ke  rañg  malāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
ab  to  ham  apne  hī  hāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
paañv  rakhnā  mujhe  sahrā  meñ  bhī  dushvār  hai  ab
saare  kāñTe  mire  chhāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
tauba  tauba  vo  mire  ḳhvāb  meñ  kyā  ā.eñge
jāgte  meñ  jo  ḳhayāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
allāh  allāh  rī  nazākat  tire  ruḳhsāroñ  kī
itne  nāzuk  haiñ  ki  khāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
tū  hai  koThe  pe  to  katrā  ke  nikaltī  hai  ghaTā
kaale  bādal  tire  bāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
kyā  dabā.eñge  ubhar  kar  tire  joban  zālim
ye  to  ḳhud  dekhne  vāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
un  ko  ai  shauq-e-talab  chheḌ  ke  mahjūb  na  kar
jo  mohabbat  ke  ḳhayāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
be-tarah  bār-e-mohabbat  to  paḌā  hai  un  par
aap  kyuuñ  chāhne  vāloñ  se  dabe  jaate  haiñ
baar  huuñ  dīda-e-arbāb-e-suḳhan  par  'muztar'
mudda.ī  mere  kamāloñ  se  dabe  jaate  haiñ