hausla  imtihān  se  niklā
jaan  kā  kaam  jaan  se  niklā
dard-e-dil  un  ke  kaan  tak  pahuñchā
baat  ban  kar  zabān  se  niklā
bevafā.ī  meñ  vo  zamīñ  vaalā
haath  bhar  āsmān  se  niklā
harf-e-matlab  faqat  kahā  na  gayā
varna  sab  kuchh  zabān  se  niklā
kuchh  kī  kuchh  kaun  sunñe  vaalā  thā
kuchh  kā  kuchh  kyuuñ  zabān  se  niklā
ik  sitam  miT  gayā  to  aur  huā
āsmāñ  āsmān  se  niklā
jis  se  bachtā  thā  maiñ  dam-e-iz.hār
vahī  pahlū  bayān  se  niklā
vo  bhī  armān  kyā  jo  ai  'muztar'
dil  meñ  rah  kar  zabān  se  niklā