ik  naqsh-e-ḳhayāl  rū-ba-rū  hai
jo  kuchh  hai  ye  kuchh  nahīñ  hai  tū  hai
har  phuul  ke  saath  ek  kāñTā
har  dost  ke  saath  ik  adū  hai
dil  hai  to  hazār  tujh  se  achchhe
aisā  hī  to  ik  baḌā  vo  tū  hai
dushman  ke  jigar  kā  ḳhaar  maiñ  huuñ
aur  us  ke  gale  kā  haar  tū  hai
dāman  jo  hai  parda-dār-e-vahshat
is  meñ  bhī  ka.ī  jagah  rafū  hai
maiñ  aap  hī  aap  ro  rahā  huuñ
kuchh  aap  hī  aap  guftugū  hai
mahshar  meñ  kisī  kā  haa.e  kahnā
ab  aap  ke  haath  aabrū  hai
o  ġhair  ko  aañkh  dene  vaale
'muztar'  bhī  nigāh-e-rū-ba-rū  hai