aap  kyuuñ  baiThe  haiñ  ġhusse  meñ  mirī  jaan  bhare
ye  to  farmā.iye  kyā  zulf  ne  kuchh  kaan  bhare
jaan  se  jaa.e  agar  aap  ko  chāhe  koī
dam  nikal  jaa.e  jo  dam  aap  kā  insān  bhare
liye  phirte  haiñ  ham  apne  jigar-o-dil  donoñ
ek  meñ  dard  bhare  ek  meñ  armān  bhare
dāman-e-dasht  ne  aañsū  bhī  na  pūchhe  afsos
maiñ  ne  ro  ro  ke  lahū  saikḌoñ  maidān  bhare
teġh-e-qātil  ko  gale  se  jo  lagāyā  'muztar'
khiñch  ke  bolī  ki  baḌe  aa.e  tum  armān  bhare