itne  achchhe  ho  ki  bas  tauba  bhalī
tum  to  aise  ho  ki  bas  tauba  bhalī
rasm-e-ishq-e-ġhair  aur  maiñ  ye  bhī  ḳhuub
aisī  kahte  ho  ki  bas  tauba  bhalī
merī  mai-noshī  pe  saaqī  kah  uThā
itnī  piite  ho  ki  bas  tauba  bhalī
vaqt-e-āḳhir  aur  ye  qaul-e-vafā
dam  vo  dete  ho  ki  bas  tauba  bhalī
ġhair  kī  baat  apne  uupar  le  ga.e
aisī  samjhe  ho  ki  bas  tauba  bhalī
maiñ  bhī  aisā  huuñ  ki  ḳhāliq  kī  panāh
tum  bhī  aise  ho  ki  bas  tauba  bhalī
kahte  haiñ  'muztar'  vo  mujh  ko  dekh  kar
yuuñ  taḌapte  ho  ki  bas  tauba  bhalī