jo  pūchhā  muñh  dikhāne  aap  kab  chilman  se  nikleñge
to  bole  aap  jis  din  hashr  meñ  madfan  se  nikleñge
jalegā  dil  tumheñ  bazm-e-adū  meñ  dekh  kar  merā
dhuāñ  ban  ban  ke  armāñ  mahfil-e-dushman  se  nikleñge
ikaTThe  kar  ke  terī  dūsrī  tasvīr  khīñchūñgā
vo  sab  jalve  jo  chhan  chhan  kar  tirī  chilman  se  nikleñge
siyah  poshāk  dosh-e-nāz  par  bikhrī  huī  zulfeñ
mire  mātam  kī  shirkat  ko  baḌe  joban  se  nikleñge
hameñ  parvā  nahīñ  is  kī  qayāmat  laakh  baar  aa.e
na  tum  madfan  pe  aaoge  na  ham  madfan  se  nikleñge
tire  dāman  se  badlā  leñge  zālim  ḳhūn-e-nāhaq  kā
vo  favvāre  lahū  ke  jo  mirī  gardan  se  nikleñge
yahī  rishta  junūn-e-āshiqī  kā  hai  to  kuchh  din  meñ
mire  tār-e-garebāñ  yaar  ke  dāman  se  nikleñge
hazāroñ  husn  vaale  is  zamīñ  meñ  dafn  haiñ  'muztar'
qayāmat  hogī  jab  ye  sab  ke  sab  madfan  se  nikleñge