rah  ke  parde  meñ  ruḳh-e-pur-nūr  kī  bāteñ  na  kar
duur  se  bāteñ  sunā  kar  duur  kī  bāteñ  na  kar
baiTh  kar  duniyā  meñ  zāhid  huur  kī  bāteñ  na  kar
rah  ke  itnī  duur  itnī  duur  kī  bāteñ  na  kar
lan-tarānī  jalva-e-jānāñ  tirī  achchhī  nahīñ
maiñ  koī  muusā  nahīñ  huuñ  tuur  kī  bāteñ  na  kar
merī  be-hoshī  baḌhī  jaatī  hai  is  tadbīr  se
chāragar  tū  dīda-e-maḳhmūr  kī  bāteñ  na  kar
apnā  ġham  mujh  ko  parā.e  ġham  se  yaad  aane  lagā
ham-nashīñ  mujh  se  dil-e-ranjūr  kī  bāteñ  na  kar
paas  aane  ko  jo  kahtā  huuñ  to  'muztar'  naaz  se
kahte  haiñ  chal  duur  itnī  duur  kī  bāteñ  na  kar