muḳhālif  hai  sabā-e-nāma-bar  kuchh  aur  kahtī  hai
udhar  kuchh  aur  kahtī  hai  idhar  kuchh  aur  kahtī  hai
na  tū  dushman  ke  ghar  soyā  na  tū  dushman  ke  ghar  jaagā
ye  sab  sach  hai  tirī  sūrat  magar  kuchh  aur  kahtī  hai
udhar  madd-e-nazar  un  ko  chhupānā  raaz  ulfat  kā
idhar  kambaḳht  merī  chashm-e-tar  kuchh  aur  kahtī  hai
tasavvur  dil  meñ  shāyad  aa  gayā  hai  ghar  ke  jaane  kā
ye  añgḌā.ī  tirī  vaqt-e-sahar  kuchh  aur  kahtī  hai
nahīñ  ma.alūm  'muztar'  mar  gayā  yā  saañs  baaqī  hai
ilāhī  ḳhair  shakl-e-chāragar  kuchh  aur  kahtī  hai