baiThe  hue  haiñ  ham  ḳhud  āñkhoñ  meñ  dhuul  Daale
ai  rū-e-yār  tū  ne  parde  fuzūl  Daale
jhagḌā  hī  tum  chukā  do  jab  teġh  khīñch  lī  hai
aafat  meñ  phir  na  mujh  ko  jān-e-malūl  Daale
sūrat  to  ek  hī  thī  do  ghar  hue  to  kyā  hai
dair-o-haram  kī  bābat  jhagḌe  fuzūl  Daale
turbat  se  koī  pūchhe  nairañgī-e-zamāna
ba.azoñ  ne  ḳhaak  Daalī  ba.azoñ  ne  phuul  Daale
kahte  haiñ  jis  ko  jalva  vo  bhī  kahīñ  rukā  hai
aaḌeñ  fuzūl  kī  haiñ  parde  fuzūl  Daale
sadqe  dil-o-jigar  ko  mizhgāñ  pe  kar  chukā  huuñ
maiñ  ne  to  apne  hāthoñ  kāñToñ  pe  phuul  Daale
kaise  hisāb  joḌūñ  a.amāl-e-ma.asiyat  kā
jab  us  kī  shān-e-rahmat  gintī  meñ  bhuul  Daale
'muztar'  diloñ  ke  andar  rakhne  ke  the  ye  kāfir
dozaḳh  meñ  kyuuñ  ḳhudā  ne  jannat  ke  phuul  Daale