agar  tum  dil  hamārā  le  ke  pachhtā.e  to  rahne  do
na  kaam  aa.e  to  vāpas  do  jo  kaam  aa.e  to  rahne  do
mirā  rahnā  tumhāre  dar  pe  logoñ  ko  khaTaktā  hai
agar  kah  do  to  uTh  jā.ūñ  jo  rahm  aa.e  to  rahne  do
kahīñ  aisā  na  karnā  vasl  kā  va.ada  to  karte  ho
ki  tum  ko  phir  koī  kuchh  aur  samjhā.e  to  rahne  do
dil  apnā  bechtā  huuñ  vājibī  daam  us  ke  do  bose
jo  qīmat  do  to  lo  qīmat  na  dī  jaa.e  to  rahne  do
dil-e-'muztar'  kī  betābī  se  dam  uljhe  to  vāpas  do
agar  marzī  bhī  ho  aur  dil  na  ghabrā.e  to  rahne  do