duā  se  kuchh  na  huā  iltijā  se  kuchh  na  huā
butoñ  ke  ishq  meñ  yād-e-ḳhudā  se  kuchh  na  havā
maiñ  ek  kyā  huuñ  sabhī  bā-vafā  haiñ  shākī-e-jaur
tum  ek  kyā  ho  kisī  bevafā  se  kuchh  na  huā
bharī  to  thī  magar  apne  asar  ko  lā  na  sakī
ga.ī  to  thī  magar  āh-e-rasā  se  kuchh  na  huā
vo  aarzū  huuñ  ki  jis  aarzū  kī  kuchh  na  chalī
vo  mudda.ā  huuñ  ki  jis  mudda.ā  se  kuchh  na  huā
yahī  sahī  ki  ḳhushī  se  mile  mile  to  sahī
yahī  sahī  ki  hamārī  duā  se  kuchh  na  huā
vo  ek  ham  ki  jo  chāhā  kiyā  visāl  kī  raat
vo  ek  tum  ki  tumhārī  hayā  se  kuchh  na  huā
unheñ  bulā  ke  tasavvur  meñ  ham  mile  'muztar'
havas  to  ho  ga.ī  puurī  balā  se  kuchh  na  huā