jo  mai  dil  se  piye  koī  to  phir  raḳhne  nahīñ  rahte
zarā  ye  saaf  kar  lī  jaa.e  phir  tinke  nahīñ  rahte
hamārā  mai-kada  mahfūz  hai  tāsīr-e-mausam  se
yahāñ  shīshe  bhare  jāḌoñ  meñ  bhī  ThanDe  nahīñ  rahte
sharāb-e-nāb  ke  piine  se  haañ  itnā  to  hotā  hai
paḌe  rahte  haiñ  jo  āñkhoñ  pe  vo  parde  nahīñ  rahte
qayām-e-mai-kada  ke  vāste  iqrār  kyuuñ  saaqī
pilā.egā  to  rah  jā.eñge  aur  vaise  nahīñ  rahte
libās-e-zāhirī  par  mai  se  be-shak  daaġh  paḌte  haiñ
magar  piine  se  andar  qalb  ke  dhabbe  nahīñ  rahte
nahīñ  detā  jo  mai  achchhā  na  de  terī  ḳhushī  saaqī
piyāle  kuchh  hamesha  taaq  par  rakkhe  nahīñ  rahte
chhupā.e  kis  tarah  zāhid  se  rāz-e-mai-kashī  koī
ye  hazrat  mai-kashoñ  kā  haal  be-pūchhe  nahīñ  rahte
namāzoñ  se  thake  zāhid  to  mai-ḳhāne  meñ  aa  jaanā
ye  uThne  baiThne  ke  is  jagah  jhagḌe  nahīñ  rahte
ḳhudā  ke  dāman-e-rahmat  se  apnā  dāman-e-isyāñ
vo  kyā  Tāñkegā  jis  ke  aañkh  meñ  Dore  nahīñ  rahte