kisī  ke  sañg-e-dar  se  apnī  mayyat  le  ke  uTTheñge
yahī  patthar  pa.e  tāvīz-e-turbat  le  ke  uTTheñge
ga.e  vo  din  ki  ham  girte  the  aur  himmat  uThātī  thī
vo  din  aayā  ki  ab  ham  apnī  himmat  le  ke  uTTheñge
agar  dil  hai  to  terā  dard-e-ulfat  saath  jā.egā
kalejā  hai  to  terā  dāġh-e-hasrat  le  ke  uTTheñge
ye  paidā  hote  hī  ronā  sarīhan  bad-shugūnī  hai
musībat  meñ  raheñge  aur  musībat  le  ke  uTTheñge
ḳhat-e-qismat  miTāte  ho  magar  itnā  samajh  lenā
ye  harf-e-ārzū  hāthoñ  kī  rañgat  le  ke  uTTheñge
mujhe  apnī  galī  meñ  dekh  kar  vo  naaz  se  bole
mohabbat  se  dabe  jaate  haiñ  hasrat  le  ke  uTTheñge
tire  kūche  meñ  kyuuñ  baiThe  faqat  is  vāste  baiThe
ki  jab  uTTheñge  is  duniyā  se  jannat  le  ke  uTTheñge
tirā  rāz-e-mohabbat  le  ke  aa.e  le  ke  jā.eñge
amānat  le  ke  baiThe  haiñ  amānat  le  ke  uTTheñge
hameñ  is  naam  japne  kā  mazā  us  roz  aa.egā
tumhārā  naam  jis  din  zer-e-turbat  le  ke  uTTheñge
dam-e-āḳhir  ham  āñchal  un  kā  'muztar'  kis  tarah  chhoḌeñ
yahī  to  hai  kafan  jis  kī  badaulat  le  ke  uTTheñge