ilāj-e-dard-e-dil  tum  se  masīhā  ho  nahīñ  saktā
tum  achchhā  kar  nahīñ  sakte  maiñ  achchhā  ho  nahīñ  saktā
adū  ko  chhoḌ  do  phir  jaan  bhī  māñgo  to  hāzir  hai
tum  aisā  kar  nahīñ  sakte  to  aisā  ho  nahīñ  saktā
abhī  marte  haiñ  ham  jiine  kā  ta.ana  phir  na  denā  tum
ye  ta.ana  un  ko  denā  jin  se  aisā  ho  nahīñ  saktā
tumheñ  chāhūñ  tumhāre  chāhne  vāloñ  ko  bhī  chāhūñ
mirā  dil  pher  do  mujh  se  ye  jhagḌā  ho  nahīñ  saktā
dam-e-āḳhir  mirī  bālīñ  pe  majma.a  hai  hasīnoñ  kā
farishta  maut  kā  phir  aa.e  pardā  ho  nahīñ  saktā
na  barto  un  se  apnā.iyat  ke  tum  bartāv  ai  'muztar'
parāyā  maal  in  bātoñ  se  apnā  ho  nahīñ  saktā