duur  kyuuñ  jā.ūñ  yahīñ  jalva-numā  baiThā  hai
dil  mirā  arsh  hai  aur  us  pe  ḳhudā  baiThā  hai
but-kade  meñ  tire  jalve  ne  tarāshe  patthar
jis  ne  dekhā  yahī  jaanā  ki  ḳhudā  baiThā  hai
kyā  hue  aañkh  ke  parde  jo  paḌe  the  ab  tak
barmalā  hashr  meñ  kyuuñ  aaj  ḳhudā  baiThā  hai
naqsh-e-vahdat  hī  suvaidā  ko  kahā  karte  haiñ
dil  meñ  ik  til  hai  aur  us  til  meñ  ḳhudā  baiThā  hai
maiñ  jo  kahtā  huuñ  ki  ka.abe  ko  na  barbād  karo
hañs  ke  but  kahte  haiñ  kyā  dil  meñ  ḳhudā  baiThā  hai
āsmāñ  maiñ  tirī  gardish  se  nahīñ  Dartā  huuñ
tujh  ko  kis  baat  kā  ġham  sar  pe  ḳhudā  baiThā  hai
chashm-e-vahdat  se  jo  insān  zarā  ġhaur  kare
jis  ko  dekhe  yahī  samjhe  ki  ḳhudā  baiThā  hai
apne  marne  kā  zarā  ġham  na  karo  tum  'muztar'
yuuñ  samajh  lo  ki  jilāne  ko  ḳhudā  baiThā  hai