mohabbat  bā.is-e-nā-mehrbānī  hotī  jaatī  hai
hamārī  saarī  mehnat  dhūl-dhānī  hotī  jaatī  hai
hikāyat  huuñ  jo  rātoñ  ko  hamesha  hotī  rahtī  hai
shikāyat  huuñ  jo  aapas  meñ  zabānī  hotī  jaatī  hai
tirā  ġham  aaj  tak  taaza  hai  zālim  varna  duniyā  meñ
na.ī  shai  din  guzarne  se  purānī  hotī  jaatī  hai
tumhārī  yaad  meñ  ahl-e-jahāñ  mar  mar  ke  jiite  haiñ
qazā  logoñ  ke  haq  meñ  zindagānī  hotī  jaatī  hai
baḌā  ilzām  Thahrā  hai  ta.alluq  rishta-dārī  kā
qarābat  kī  mohabbat  bad-gumānī  hotī  jaatī  hai
yahī  tambīh  milne  par  unheñ  majbūr  kartī  hai
yahī  tākīd  goyā  zid  kī  baanī  hotī  jaatī  hai
mire  ġham  meñ  vo  majbūrī  se  un  hāloñ  ko  pahuñche  haiñ
ki  ab  un  kī  nazākat  nā-tavānī  hotī  jaatī  hai
tire  kūche  meñ  ab  gardish  kī  sūrat  paḌtī  jaatī  hai
zamīñ  kī  chaal  daur-e-āsmānī  hotī  jaatī  hai
mire  pahlū  meñ  dil  kab  thā  lahū  kī  buuñd  thī  'muztar'
so  ab  vo  buuñd  bhī  qismat  se  paanī  hotī  jaatī  hai