dil  kā  mo.āmla  jo  supurd-e-nazar  huā
dushvār  se  ye  marhala  dushvār-tar  huā
ubhrā  har  ik  ḳhayāl  kī  tah  se  tirā  ḳhayāl
dhokā  tirī  sadā  kā  har  āvāz  par  huā
rāhoñ  meñ  ek  saath  ye  kyuuñ  jal  uThe  charāġh
shāyad  tirā  ḳhayāl  mirā  ham-safar  huā
simTī  to  aur  phail  ga.ī  dil  meñ  mauj-e-dard
phailā  to  aur  dāman-e-ġham  muḳhtasar  huā
lahrā  ke  terī  zulf  banī  ik  hasīn  shaam
khul  kar  tire  laboñ  kā  tabassum  sahar  huā
pahlī  nazar  kī  baat  thī  pahlī  nazar  ke  saath
phir  aisā  ittifāq  kahāñ  umr  bhar  huā
dil  meñ  jarāhatoñ  ke  chaman  lahlhā  uThe
'muztar'  jab  us  ke  shahr  se  apnā  guzar  huā