ye  tum  be-vaqt  kaise  aaj  aa  nikle  sabab  kyā  hai
bulāyā  jab  na  aa.e  ab  ye  aanā  be-talab  kyā  hai
mohabbat  kā  asar  phir  dekhnā  marne  to  do  mujh  ko
vo  mere  saath  zinda  dafn  ho  jaa.eñ  ajab  kyā  hai
nigāh-e-yār  mil  jaatī  to  ham  shāgird  ho  jaate
zarā  ye  siikh  lete  dil  ke  le  lene  kā  Dhab  kyā  hai
jo  ġham  tum  ne  diyā  us  par  tasadduq  saikḌoñ  ḳhushiyāñ
jo  dukh  tum  se  mile  un  ke  muqābil  meñ  tarab  kyā  hai
samajhte  the  baḌā  sachchā  musalmāñ  tum  ko  sab  'muztar'
magar  tum  to  butoñ  ko  pūjte  ho  ye  ġhazab  kyā  hai