hijr  meñ  ho  gayā  visāl  kā  kyā
ḳhvāb  hī  ban  gayā  ḳhayāl  kā  kyā
ḳhud-numā.ī  pe  ḳhaak  Daalo  tum
dekhnā  shakl-e-be-misāl  kā  kyā
terī  furqat  ke  din  ḳhudā  kaaTe
ho  rahegā  kabhī  visāl  kā  kyā
dil  ke  dene  meñ  uzr  kis  ko  hai
jaan  hī  de  rahe  haiñ  maal  kā  kyā
haal  us  ne  hamārā  pūchhā  hai
pūchhnā  ab  hamāre  haal  kā  kyā
vasl  kī  iltijā  pe  bigḌe  kyuuñ
sun  ke  chup  ho  raho  savāl  kā  kyā
daur  kī  āshiqī  gunāh  nahīñ
dekh  lete  haiñ  dekh-bhāl  kā  kyā
zulf  ko  kyuuñ  jakaḌ  ke  bāñdhā  hai
us  ne  bosa  liyā  thā  gaal  kā  kyā
aaj  tum  kyuuñ  malūl  baiThe  ho
vasl  din  hai  mire  visāl  kā  kyā
jab  kahā  tum  se  roz  miltā  huuñ
hañs  ke  kahne  lage  ḳhayāl  kā  kyā
qaul  ke  vaqt  shart-e-fursat  kyuuñ
daḳhl  va.ade  meñ  ehtimāl  kā  kyā
rañj  de  kar  jo  ḳhush  ho  ai  'muztar'
us  ko  sadma  mire  malāl  kā  kyā