ham  ne  paa.ī  lazzat-e-dīdār  lekin  duur  se
un  kī  sūrat  dekh  lī  sau  baar  lekin  duur  se
vo  dikhāte  haiñ  hameñ  ruḳhsār  lekin  duur  se
is  kā  matlab  hai  ki  kar  lo  pyaar  lekin  duur  se
us  ne  jāñchā  merā  dard-e-dil  magar  aayā  na  paas
us  ne  dekhā  merā  hāl-e-zār  lekin  duur  se
rauzan-e-dīvār  se  hasrat  bharī  āñkheñ  laḌīñ
ho  ga.iiñ  un  se  nigāheñ  chaar  lekin  duur  se
us  ne  aane  kā  kiyā  hai  qaul  lekin  tā-ba-dar
us  ne  milne  kā  kiyā  iqrār  lekin  duur  se
paas  'muztar'  kis  tarah  jaate  hujūm-e-yās  meñ
ho  gayā  un  kā  hameñ  dīdār  lekin  duur  se