aarzū  dil  meñ  banā.e  hue  ghar  hai  bhī  to  kyā
us  se  kuchh  kaam  bhī  nikle  ye  agar  hai  bhī  to  kyā
na  vo  pūchhe  na  davā  de  na  vo  dekhe  na  vo  aa.e
dard-e-dil  hai  bhī  to  kyā  dard-e-jigar  hai  bhī  to  kyā
aap  se  mujh  ko  mohabbat  jo  nahīñ  hai  na  sahī
aur  ba-qaul  aap  ke  hone  ko  agar  hai  bhī  to  kyā
der  hī  kyā  hai  hasīnoñ  kī  nigāheñ  phirte
mujh  pe  do  din  ko  ināyat  kī  nazar  hai  bhī  to  kyā
sub.h  tak  kaun  jiyegā  shab-e-tanhā.ī  meñ
dil-e-nādāñ  tujhe  ummīd-e-sahar  hai  bhī  to  kyā
maiñ  ba-dastūr  jalūñgā  ye  na  hogī  'muztar'
merī  sāthī  shab-e-ġham  sham-e-sahar  hai  bhī  to  kyā