jab  kahā  maiñ  ne  ki  mar  mar  ke  bache  hijr  meñ  ham
hañs  ke  bole  tumheñ  jiinā  thā  to  mar  kyuuñ  na  ga.e
ham  to  allāh  ke  ghar  jā  ke  bahut  pachhtā.e
jaan  denī  thī  to  kāfir  tire  ghar  kyuuñ  na  ga.e
sū-e-dozaḳh  but-e-kāfir  ko  jo  jaate  dekhā
ham  ne  jannat  se  kahā  haa.e  udhar  kyuuñ  na  ga.e
pahle  us  soch  meñ  marte  the  ki  jiite  kyuuñ  haiñ
ab  ham  is  fikr  meñ  jiite  haiñ  ki  mar  kyuuñ  na  ga.e
zāhido  kyā  sū-e-mashriq  nahīñ  allāh  kā  ghar
ka.abe  jaanā  thā  to  tum  log  udhar  kyuuñ  na  ga.e
tū  ne  āñkheñ  to  mujhe  dekh  ke  nīchī  kar  liiñ
mere  dushman  tirī  nazroñ  se  utar  kyuuñ  na  ga.e
sun  ke  bole  vo  mirā  hāl-e-judā.ī  'muztar'
jab  ye  hālat  thī  to  phir  jī  se  guzar  kyuuñ  na  ga.e