umr  kaaTī  butoñ  kī  aaḌoñ  meñ
ban  ke  patthar  rahā  pahāḌoñ  meñ
vo  laḌā.ī  meñ  bol  uThe  mujh  se
baat  achchhī  banī  bigāḌoñ  meñ
dard-e-sar  ke  ilaaj  ko  vahshat
khīñch  kar  le  chalī  pahāḌoñ  meñ
mastiyāñ  aur  bahār  kā  mausam
mai  kī  lazzat  gulābī  jāḌoñ  meñ
duḳhtar-e-raz  kī  sharm  to  dekho
chhup  ga.ī  jā  ke  ḳhum  kī  aaḌoñ  meñ
tū  ne  pī  hī  nahīñ  hai  ai  zāhid
mai  kī  garmī  na  pūchh  jāḌoñ  meñ
tere  gesū  bhī  ho  ga.e  shāmil
merī  taqdīr  ke  bigāḌoñ  meñ
marg-e-dushman  pe  maut  rotī  hai
ye  asar  hai  tirī  pachhāḌoñ  meñ
uThte  joban  pe  khul  paḌe  gesū
aa  ke  jogī  base  pahāḌoñ  meñ
vo  gale  se  lipaT  ke  sote  haiñ
āj-kal  garmiyāñ  haiñ  jāḌoñ  meñ
ishq  meñ  jaan  par  banī  'muztar'
zindagī  kaT  ga.ī  bigāḌoñ  meñ