asīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb  kar  ke  mujhe
kahāñ  gayā  mirā  bachpan  ḳharāb  kar  ke  mujhe
kisī  ke  dard-e-mohabbat  ne  umr-bhar  ke  liye
ḳhudā  se  maañg  liyā  intiḳhāb  kar  ke  mujhe
ye  un  ke  husn  ko  hai  sūrat-āfrīñ  se  gila
ġhazab  meñ  Daal  diyā  lā-javāb  kar  ke  mujhe
vo  paas  aane  na  paa.e  ki  aa.ī  maut  kī  niiñd
nasīb  so  ga.e  masrūf-e-ḳhvāb  kar  ke  mujhe
mire  gunāh  ziyāda  haiñ  yā  tirī  rahmat
karīm  tū  hī  batā  de  hisāb  kar  ke  mujhe
maiñ  un  ke  parda-e-be-jā  se  mar  gayā  'muztar'
unhoñ  ne  maar  hī  Daalā  hijāb  kar  ke  mujhe