unhoñ  ne  kyā  na  kiyā  aur  kyā  nahīñ  karte
hazār  kuchh  ho  magar  ik  vafā  nahīñ  karte
burā  huuñ  maiñ  jo  kisī  kī  burā.iyoñ  meñ  nahīñ
bhale  ho  tum  jo  kisī  kā  bhalā  nahīñ  karte
vo  ā.eñge  mirī  taqrīb-e-marg  meñ  tauba
kabhī  jo  rasm-e-ayādat  adā  nahīñ  karte
jahāñ  ga.e  yahī  dekhā  ki  log  marte  haiñ
yahī  sunā  ki  vo  va.ada  vafā  nahīñ  karte
kisī  ke  kam  haiñ  kisī  ke  bahut  magar  zāhid
gunāh  karne  ko  kyā  pārsā  nahīñ  karte
jo  in  hasīnoñ  pe  marte  haiñ  jīte-jī  'muztar'
vo  intizār-e-payām-e-qazā  nahīñ  karte