unhīñ  logoñ  kī  badaulat  ye  hasīñ  achchhe  haiñ
chāhne  vaale  in  achchhoñ  se  kahīñ  achchhe  haiñ
kūcha-e-yār  se  yārab  na  uThānā  ham  ko
is  bure  haal  meñ  bhī  ham  to  yahīñ  achchhe  haiñ
na  koī  daaġh  na  dhabbā  na  harārat  na  tapish
chāñd-sūraj  se  bhī  ye  māh-jabīñ  achchhe  haiñ
koī  achchhā  nazar  aa  jaa.e  to  ik  baat  bhī  hai
yuuñ  to  parde  meñ  sabhī  parda-nashīñ  achchhe  haiñ
tere  ghar  aa.eñ  to  īmān  ko  kis  par  chhoḌeñ
ham  to  ka.abe  hī  meñ  ai  dushman-e-dīñ  achchhe  haiñ
haiñ  maze  husn-o-mohabbat  ke  inhīñ  ko  hāsil
āsmāñ  vāloñ  se  ye  ahl-e-zamīñ  achchhe  haiñ
ek  ham  haiñ  ki  jahāñ  jaa.eñ  bure  kahlā.eñ
ek  vo  vo  haiñ  ki  jahāñ  jaa.eñ  vahīñ  achchhe  haiñ
kūcha-e-yār  se  mahshar  meñ  bulātā  hai  ḳhudā
kah  do  'muztar'  ki  na  ā.eñge  yahīñ  achchhe  haiñ