ḳhāmushī  bā.is-e-rusvā.ī  nahīñ  hotī  hai
mustaqil  bolnā  dānā.ī  nahīñ  hotī  hai
har  jagah  dil  ke  phaphūle  nahīñ  phoḌā  karte
har  jagah  zaḳhm  pe  turpāī  nahīñ  hotī  hai
ham  ġharīboñ  ke  nivāloñ  pe  asar  paḌtā  hai
har  kisī  ke  liye  mahñgā.ī  nahīñ  hotī  hai
vaqt  aane  pe  badal  jaate  haiñ  rishte  kitne
ek  maañ  hai  ki  jo  harjā.ī  nahīñ  hotī  hai
is  liye  rah  ga.e  ahbāb  se  pīchhe  'ashraf'
ham  se  ye  qāfiya-paimā.ī  nahīñ  hotī  hai