ye  ḳhalq  jab  talab-e-jāh  meñ  paḌī  huī  thī
to  merī  zaat  tirī  chaah  meñ  paḌī  huī  thī
tū  apnī  be-ḳhabarī  meñ  jahāñ  se  guzrā  thā
ye  merī  umr  vahīñ  raah  meñ  paḌī  huī  thī
kahīñ  bhī  duur  tak  us  kā  koī  nishān  na  thā
vo  sirf  merī  talab-gāh  meñ  paḌī  huī  thī
maiñ  lafz  DhūñDhtā  rahtā  thā  jis  ke  kahne  ko
vo  saarī  baat  mirī  aah  meñ  paḌī  huī  thī
maiñ  ḳhud  ko  lag  rahā  thā  chaudhvīñ  kī  shab  jaisā
ki  merī  jaan  bhī  ik  maah  meñ  paḌī  huī  thī