musāfirat  mirī  har  justujū  se  ḳhālī  hai
bas  ik  madār  meñ  phirne  kī  ḳhū  banā  lī  hai
tamām  vaqt  maiñ  shahr-e-gumāñ  meñ  rahtā  huuñ
sukūñ  se  rahne  kī  mantiq  na.ī  nikālī  hai
harīs  āriyoñ  kī  bheñT  chaḌh  gayā  chup-chāp
shajar  pe  ab  koī  pattā  na  koī  Daalī  hai
havā  meñ  bhar  ga.ī  hai  bū-e-ishtihā  har  sū
kisī  ġharīb  ne  apnī  ridā  uchhālī  hai
laboñ  pe  chāshnī  aur  dil  meñ  nafratoñ  kā  zahr
ye  āb-o-nār  kī  sañgat  baḌī  nirālī  hai
batā  rahā  hai  ye  pattoñ  kā  mātamī  sā  shor
chaman  se  jald  hī  āñdhī  guzarne  vaalī  hai