nahīf  tinkā  bhalā  tez  dhaar  kyā  jaane
na  kar  sakegā  vo  dariyā  ko  paar  kyā  jaane
hayāt  kī  ye  nihāyat  tavīl  rāhguzār
musāfiroñ  kī  thakan  kā  shumār  kyā  jaane
masarratoñ  meñ  chhupā  husn-e-dil  ko  kyā  ma.alūm
ye  regzār  jamāl-e-bahār  kyā  jaane
vo  ham  se  umr  bitāne  kī  baat  kartā  hai
hameñ  to  saañs  bhī  lenā  hai  baar  kyā  jaane
nashe  meñ  hai  jo  masarrat  kā  jaam  pī  ke  'obaid'
vo  hādsāt  kī  mai  kā  ḳhumār  kyā  jaane