Sehr Ishqabadi

hasinon ke tabassum ka taqaza aur hi kuchh hai

Sehr Ishqabadi

Ishqabad, Uttar pradesh, India

1903-1978

hasīnoñ ke tabassum taqāzā aur kuchh hai

magar kaliyoñ ke khilne natīja aur kuchh hai

nigāheñ mushtaba haiñ merī pākīza nigāhoñ par

mire māsūm dil par un ko dhokā aur kuchh hai

hasīnoñ se mohabbat hai unhīñ par jaan detā huuñ

mirā sheva hai ye lekin zamānā aur kuchh hai

bhalā kyā hosh aa.egā bujhegī kyā lagī dil

ye āñchal se havā dene manshā aur kuchh hai

zabān o aql o dil tārīf se jis haiñ begāne

use sajda jo kartā hai vo banda aur kuchh hai

tujhe har shai meñ dekhā 'sehr' ne har shai meñ pahchānā

magar phir bhī hai ik parda vo parda aur kuchh hai

Top Urdushayar.com