Maatam Fazl Mohammad

ila ya shah-e-KHuban kijiye shad

Maatam Fazl Mohammad

ilā shāh-e-ḳhūbāñ kījiye shaad

hue jaate haiñ āshiq ġham se barbād

hameñ tum yaad ho har lahza lekin

hamārī bhī kabhī to kījiye yaad

giraftār-e-balā bālā.e yaar

ġham-e-daurāñ se haiñ juuñ sarv āzād

agar lailā hai majnūñ haiñ ham

vagar shīrīñ hai ham haiñ farhād

vahī īrād kar saktā hai āḳhir

kiyā hai jis ne avval ham ko ījād

kisī shai ko durust-o-chust daa.em

na dekhā dar-jahān-e-sust buniyād

sher hai ashk-e-chashm-o-laḳht-e-dil se

uThāyā chāhiye ham-āb o ham-zād

gul-e-tar ḳhaar se samjheñ batar-tar

jo dekheñ andalībāñ rote sayyād

gulū-e-gul to pakḌe āḳhir-kār

ga.e kab rā.egāñ bulbul ke fariyād

abas karte ho bahr-e-tark takrār

azīzo huuñ maiñ duḳht-e-raz dāmād

nahīñ jis roz mī.ād āmad-e-yār

vahī ham jānte haiñ roz-e-mī.ād

bahut farzāna the dīvāne ham ko

banā.e shoḳh tiflāñ-e-parī-zād

hamal mirrīḳh māshūqoñ ne merā

kiyā hai sar judā az teġh-e-be-dād

hazārāñ shukr mulk-e-sindh meñ bhī

mirā maskan hai shahr-e-hyderabad

janāb haidar-e-safdar se 'mātam'

talab auqāt-e-mushkil meñ kar imdād

Top Urdushayar.com