kisī  ke  rū-ba-rū  baiThā  rahā  maiñ  be-zabāñ  ho  kar
mirī  āñkhoñ  se  hasrat  phuuT  niklī  dāstāñ  ho  kar
ḳhudā-hāfiz  kisī  ke  rāz-e-ulfat  kā  ḳhudā-hāfiz
ḳhayāl  aate  hī  ab  to  dil  dhaḌaktā  hai  fuġhāñ  ho  kar
piyā  āb-e-baqā  ai  ḳhizr  ab  tāsīr  bhī  dekho
qayāmat  tak  raho  pāband  umr-e-jāvedāñ  ho  kar
yakāyak  vo  marīz-e-ġham  kī  sūrat  kā  badal  jaanā
vo  ro  denā  kisī  nā-mehrbāñ  kā  mehrbāñ  ho  kar
kitāb-e-dahr  kā  dilchasp  TukḌā  hai  mirī  hastī
mujhe  dekho  ki  baiThā  huuñ  mujassam  dāstāñ  ho  kar
sunā  hai  is  taraf  se  bhī  janāb  ishq  guzreñge
mirī  hastī  na  uḌ  jaa.e  ġhubār-e-kārvāñ  ho  kar