Hafeez Jalandhari

hum hi mein thi na koi baat yaad na tumko aa sake

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
ham hī meñ thī na koī baat yaad na tum ko aa sake
tum ne hameñ bhulā diyā ham na tumheñ bhulā sake
tum hī na sun sake agar qissa-e-ġham sunegā kaun
kis kī zabāñ khulegī phir ham na agar sunā sake
hosh meñ aa chuke the ham josh meñ aa chuke the ham
bazm kā rañg dekh kar sar na magar uThā sake
raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikāyateñ rahīñ
dil meñ shikāyateñ rahīñ lab na magar hilā sake
shauq-e-visāl hai yahāñ lab pe savāl hai yahāñ
kis kī majāl hai yahāñ ham se nazar milā sake
aisā ho koī nāma-bar baat pe kaan dhar sake
sun ke yaqīn kar sake jā ke unheñ sunā sake
ijz se aur baḌh ga.ī barhamī-e-mizāj-e-dost
ab vo kare ilāj-e-dost jis kī samajh meñ aa sake
ahl-e-zabāñ to haiñ bahut koī nahīñ hai ahl-e-dil
kaun tirī tarah 'hafīz' dard ke giit gā sake
Top Urdushayar.com